Blog kya hota hai, Blogging kaise karte hain Ye sab aap ne seekh liya hoga lekin aap mobile se blogging start karke apne blog ko manage kar sakte hain.
Agar aap ek Android user hain to aap mobile se blogging kar skate hain. Google play store par Bahot saare application hain jisne aap apne blogger account ko manage kar skate hain.
Mera blogging ka platform blogger (Blogspot) hai , dosto main aapko 2 android app ke bare me batata hoon jisne aap blogging kar skate hain.
1) Blogger App
2) Blogaway App
Also Read: Fast hindi typing kaise kare
Blogger app blogger.com ka official android app hai. Jis par aap blogging kar skate hain.aap apne account se jis tarah website se post create karte hain waise hi aap yaha bhi kar skate hain. Is application ko install karna chahte hain to play store se download kar le ya yaha neeche diye Gaye button par click karke bhi aap install kar skate hain.
Download app from play store:
Blogaway ek application hai jo blogger platform par bane blogs ko manage karta hai. Sabse Bada advantage Ye hai ki is application me aap ek se adhik blog manage kar ante hain. Aap yaha post create kar sakte hain. aap is app se image bhi add kar sakte hain. Jinke paas laptop ya Desktop nahin hai aur blogging karna chahte hain to unke liye Mobile se blogging ke liye ye app best hai.
Blogaway app ke kuch screenshot aapko de raha hoon jisse aapko ye pata chal jaye ki mobile se blogging kane me aapko ye app kaisa dikhayi dega.
Blogaway application ka ek sabse Bada feature Ye hai ki aap yaha offline blogging bhi kar skate hain. Main abhi Ye post blogaway se hi likh raha hoon aur offline likh raha hoon. To aap kahi bhi aur kabhi bhi blogging kar skate hain. Jab bhi Koi idea aaye to aap bina internet ke blog post likhkar use baad me post kar skate hain.
Also Read: ghar baithe blogging se kaise kamaye
Features of blogaway:
1. Blog post likh skate hain. Aur sath me link , photo, video bhi attach kar sahte hain .
2. Blog post edit aur delete kar skate hain.
3. Blog post apne schedule ke hisab se post kar site hain.
4. Ek se adhik blog connect kar skate hain.
5. Blog ka traffic dekh skate hain.
6. Draft me ek se adhik blog ke post rah skate hain.
7. Ek se adhik blog ki random post dekh skate hain.
Aur bhi Bahot Kuch. Aap blogaway ko apne mobile me install kar le, Ye blogger ke app se behtar hai. Aap ise install karne ke liye neeche diye Gaye button par click kar skate hain. Ya play store se download karke install kar sakte hain.
Also Read: Fast indexing kaise kare
Blogging mobile se karne ka tareeka Aapko kaisa laga aap Hame comment karke bataye. Aapko agar Ye post achhi lagi to use apne Facebook account se share kare. Aur sath hi blog ko subscribe karna na bhule.
Bhai kya aapka num milega plz if dont mind mene bhi bloging start ki hai islie help chahta hu
aap blogging start kare. aapko comment se puri help ki jayegi.
help me sir
bhai mene mobile se blog banaya h but Google search par submit nhi ho RHA h